Tuesday, 12 January 2016

dard ki hi asaas hon main to : poet zain shakeel

درد کی ہی اساس ہوں میں تو
کتنی صدیوں کی پیاس ہوں میں تو

زائچے میں بھی میرے لکھا ہے
درد کا اقتباس ہوں میں تو

آپ خوش فہمیوں میں مت رہنا
جانے کس کس کو راس ہوں میں تو

صرف آنکھیں ہی لال ہیں نا بس؟
تم سے زیادہ اداس ہوں میں تو

تم نے زیادہ سمجھ لیا ہے ناں
صرف تھوڑا سا خاص ہوں میں تو

زین شکیل

dard ki hi asaas hon main to
kitni sadiyon ki pyaas hon main to

zayechay main bhi mere likha hai
dard ka iqtibaas hon main to

ap khushfehmiyon main mat rehna
janay kis kis ko raas hon main to

sirf ankhen hi laal hain na bas?
tum se zyada udaas hon main to

tum ne zyada samajh liya hai naa
sirf thora sa khaas hon main to

Zain Shakeel


No comments:

Post a Comment