سینے میں ایک درد پروتی ہیں بارشیں
یوں بھی اداسیوں کو سموتی ہیں بارشیں
ہوتے ہی شام ابر ٹھہرتے ہیں آنکھ میں
پھر اس کے بعد رات بھگوتی ہیں بارشیں
جانے یہ کس کے ہجر میں صدیوں سے قید ہیں
مدت سے کس کے درد میں روتی ہیں بارشیں
بھیگے ہوئے درخت بڑھائیں اداسیاں
کرتی بھی ہیں اداس بھی ہوتی ہیں بارشیں
کس نے کہا کہ تھم گئی برسات آج تو
آنکھوں میں رات بھر نہیں سوتی ہیں بارشیں
زین شکیل
seene main aik dard piroti hain barishen
youn bhi udasiyon ko samoti hain barishen
hotay hi shaam abr thehertay hain ankh main
phir is k baad raat bhigoti hain barishen
janay ye kis k hijr main sadiyon se qaid hain
muddat se kis k dard main roti hain barishen
bheegay huye darakht barhayen udasiyan
karti bhi hain udaas bhi hoti hain barishen
kis ne kaha k tham gayi barsat aaj to
ankhon main raat bhar nahi soti hain barishen
Zain Shakel
No comments:
Post a Comment