ye to logon ne yunhi baat banayi hui hai : poet zain shakeel

یہ تو لوگوں نے یونہی بات بنائی ہوئی ہے
کون کہتا ہے تری مجھ سے جدائی ہوئی ہے

میں تو آنکھوں کو بھی پڑھنے کا ہنر جانتا ہوں
تو نے اک بات کہیں مجھ سے چھپائی ہوئی ہے

لوگ آتے ہیں مرے گھر کی زیارت کےلیے
میں نے تصویر تری گھر میں لگائی ہوئی ہے

یہ جو غم ہے نا ترے ہجر کا بکھرا ہوا غم
ہم نے اس غم سے پرے کٹیا بسائی ہوئی ہے

اب جو ہر بات ہواؤں نے بتائی ہے تجھے
میں نے ہر بات ہواؤں کو سنائی ہوئی ہے

میں اکیلا تو نہیں تیرا تصور ہے یہاں
اور کمرے میں اداسی بھی بلائی ہوئی ہے

ہم کہاں بکتے تھے ان وقت کے شاہوں کو کبھی
تیری حسرت ہمیں بازار میں لائی ہوئی ہے

زین شکیل

ye to logon ne yunhi baat banayi hui hai
kon kehta hai teri muj se judayi hui hai

main to ankhon ko bhi parhne ka hunar janta hon
tu ne ik baat kahin muj se chupayi hui hai

loag atay hain mere ghar ki ziyarat k liye
main ne tasveer teri ghar main lagayi hui hai

yeh jo gham hai naa tere hijr ka bikhra hua gham
main ne is gham se paray kutya basayi hui hai

ab jo har baat hawaon ne batayi hai tuje
main ne har baat hawaon ko sunayi hui hai

main akela to nahi tera tassawur hai yahan
aor kamray main udaasi bhi bulayi hui hai

hum kahan biktay thay in waqt k shahon ko kabhi
teri hasrat hamain bazaar main layi hui hai

Zain Shakeel


No comments:

Post a Comment