Monday 11 January 2016

meri jo tum se qurbat ho chali hai : poet zain shakeel

مری جو تم سے قربت ہو چلی ہے
یہ میری وجہِ شہرت ہو چلی ہے

ابھی بھی وقت ہے تم لوٹ جاؤ
مجھے تم سے محبت ہو چلی ہے

ہماری زندگی کے چاند ہو تم
تمہیں تکنے کی عادت ہو چلی ہے

تمہیں یوں احتیاطاً بھولنے پر
جنوں سے مجھ کو نسبت ہو چلی ہے

کوئی تو سیکھ لے مرہم لگانا
مجھے زخموں کی عادت ہو چلی ہے

تجھے خاموشیوں سے بات کرتے
سنا ہے ایک مدت ہو چلی ہے

ابھی عدت میں بیٹھی ہیں یہ خوشیاں
غموں سے مجھ کو رغبت ہو چلی ہے

خدا جانے یہ کیسا مرحلہ ہے
اداسی بھی عبادت ہو چلی ہے

زین شکیل

meri jo tum se qurbat ho chali hai
yeh meri wajh e shohrat ho chali hai

abhi bhi waqt hai tum loat jao
mujhay tum se muhabbat ho chali hai

hamari zindagi k chaand ho tum
tumhain taknay ki adat ho chali hai

tumhain youn ehteyatan bhoolne per
junoon se mujh ko nisbat ho chali hai

koi to seekh le marham lagana
muje zakhmon ki adat ho chali hai

tujhay khamoshiyon se baat kartay
suna hai aik muddat ho chali hai

abi issat main bethi hain yeh khushihyan
ghamon se mujh ko raghbat ho chali hai

khuda janay ye kesa marhala hai
udaasi bhi ibadat ho chali hai

Zain Shakeel


No comments:

Post a Comment