Sunday 10 January 2016

kis ko kis kis lamhay hona hota hai : poet zain shakeel

کس کو کس کس لمحے کھونا ہوتا ہے
چاہت میں یہ اکثر ہونا ہوتا ہے

تم نے مجھ سے ملنا کیونکر چھوڑا ہے
مجھ کو تم سے مل کر رونا ہوتا ہے

تم کہتے ہو آ جاؤ، میں کیوں آؤں
تم نے بھی تو رونا دھونا ہوتا ہے

لوگ بھی کھل کر اس سے کھیلا کرتے ہیں
دل بھی جیسے ایک کھلونا ہوتا ہے

دھیرے دھیرے سب تارے سو جاتے ہیں
پھر آخر میں مجھ کو سونا ہوتا ہے

میرے بستر پر سونا آسان نہیں
اس پر دکھ کا ایک بچھونا ہوتا ہے

پیار پہ آخر بس اپنا کب چلتا ہے
ہو جاتا ہے جب یہ ہونا ہوتا ہے

زین شکیل

kis ko kis kis lamhay hona hota hai
chahat main yeh aksar hona hota hai

tum ne mujh se milna kiukar chora hai
mujh ko tum se mil kar rona hota hai

tum kehtay ho ajao, main kiu aon?
tum ne bhi to rona dhona hota hai

loag bhi khul kar is se khela kartay hain
dil bhi jese aik khilona hota hai

dheeray dheeray sab taray so jatay hain
phir akhir main mujh ko sona hota hai

mere bistar per sona aasan nahi
us per dukh ka aik bichona hota hai

pyaar pe akhir bas apna kab chalta hai
hojata hai jab yeh hona hota hai

Zain Shakeel


No comments:

Post a Comment