Sunday 10 January 2016

mere wajood se tera khumaar darta hai : poet zain shakeel

مرے وجود سے تیرا خمار ڈرتا ہے
کہ مجھ سے اب بھی ترا انتظار ڈرتا ہے

میں نوچ لوں نہ کہیں اس کے جسم سے خود کو
وہ کر رہا ہی نہیں اعتبار، ڈرتا ہے

میں کونے کونے پہ وحشت سجایا کرتا ہوں
سو مجھ سے شہر ترا بار بار ڈرتا ہے

غموں نے جب سے چنا ہے مجھے سدا کے لیے
قریب آتے ہوئے غمگسار ڈرتا ہے

راہِ وفا کا یہ دستور ہے اگر اس پر
جو ایک بار ڈرا بار بار ڈرتا ہے

یہی کہا تھا مرا ہاتھ تھام لے پاگل
یہ تجھ سے ہو نہ سکا چھوڑ یار ڈرتا ہے

زین شکیل

mere wajood se tera khumaar darta hai
k muj se ab bhi tera intazar darta hai

main noch lon na kahi us k jism se khud ko
wo kar raha hi nahi aitabaar darta hai

main konay konay pe wehshat sajaya karta hon
so mujh se sheher tera bar bar darta hon

ghamon ne jab se chuna hai muje sada k liye
qareeb atay huye ghamgusar darta ha

rah e wafa ka yeh dastoor hai agar us per
jo aik bar dara bar bar darta hai

yehi kaha tha mera hath thaam le pagal
yeh tujh se ho na saka chorr yaar darta hai

Zain Shakeel


No comments:

Post a Comment