Tuesday 12 January 2016

main k phir roye bina raat nahi karta naa : poet zain shakeel

میں کہ پھر روئے بنا رات نہیں کرتا ناں!
جب کوئی مجھ سے تری بات نہیں کرتا ناں!

میں اسے اس لئے ہر بات بتا دیتا ہوں
آئینہ مجھ سے سوالات نہیں کرتا ناں!

اس لیے اس کے سبھی جھوٹ بھی سچ مانے ہیں
وہ بنا روئے کوئی بات نہیں کرتا ناں!

پارسائی پہ مری اس لیے شک ہے اس کو
برملا میں جو کرامات نہیں کرتا ناں!

آپ بھی ویسے ہی پامال کیا مت کیجے
جیسے میں آپ کے جذبات نہیں کرتا ناں!

اتنے لوگوں میں مجھے یوں نہ دکھاؤ آنکھیں
اچھا بابا میں کوئی بات نہیں کرتا ناں!

زین شکیل

main k phir roye bina raat nahi karta naa
jab koi mujh se teri baat nahi karta naa

main usay is liye har baat bata deta hon
aaina mujh se sawalaat nahi karta naa

iss liye us k sabhi jhoot bhi sach manay hain
wo bina roye koi baat nahi karta naa

parsayi pe meri is liye shak hai us ko
bar malaa main jo karamaat nahi karta naa

aap bhi wese hi pamaal kiya mat kijay
jese main aap k jazbaat nahi karta naa

itne logon main mujhe youn na dikhao ankhen
acha baba main koi baat nahi karta naa!

Zain Shakeel


No comments:

Post a Comment