Monday 4 January 2016

ae dost mohtaram hon zara ehteyaat kar : poet zain shakeel

اے دوست محترم ہوں ذرا احتیاط کر
میں واصلِ کرم ہوں ذرا احتیاط کر

میرے سبب سے عشق کی وحشت ہے چار سو
میں حاصلِ ستم ہوں ذرا احتیاط کر

نقش و نگارِ حُسن مرے مت بگاڑ، سن
میں دین ہوں دھرم ہوں ذرا احتیاط کر

بے چین دن ہوں اور ہوں شامِ فراق بھی
میں ایک چشمِ نم ہوں ذرا احتیاط کر

اب بات بات پر تو اٹھایا نہ کر مجھے
میں یار کی قسم ہوں ذرا احتیاط کر

بے ضابطہ نہیں کہ مری آبرو نہ ہو
باقاعدہ الم ہوں ذرا احتیاط کر

پاتی ہے بس حیات مری ذات سے اجل
میں موت کا جنم ہوں ذرا احتیاط کر

زین شکیل

ae dost mohtaram hon zara ehteyaat kar
main vaasal e karam hon zara ehteyaat kar

mere sabab se ishq ki vehshat hai chaar soo
main haasil e sitam hon zara ehteyaat kar

naqsh o nigaar e husn mere mat bigaar sun
main deen hon dharam hon zara ehteyaat kar

be chain din hon aor hon shaam e firaaq bhi
main aik chashm e num hon zara ehteyaat kar

ab baat baat per to uthaya na kar mujhay
main yaar ki qasam hon zara ehteyaat kr

be zaabta nahi k meri aabroo na ho
ba qayeda alam hon zara ehteyaat kar

pati hai yeh bas hayaat meri zaat se ajal
main moat ka janam hon zara ehteyaat kar

Zain Shakeel


No comments:

Post a Comment