Monday 4 January 2016

ab mere paas tum nahi aana : poet zain shakeel

اب مِرے پاس تم نہیں آنا


مسکراہٹ کے بعد کا رستہ

مجھ سے پھر طے نہ ہو سکا جاناں
تجھ سے پہلے بھی میں اکیلا تھا
میں ترے بعد بھی اکیلا ہوں
یہ مرا بخت بھی نرالا ہے
اس میں ٹھہری تھیں جس قدر خوشیاں
پہن کر وہ سیاہ لباس سبھی
بال اپنے بکھیر بیٹھی ہیں
گھر وہ اپنا اجاڑ بیٹھی ہیں
وصل کا ایک پل بھی راس نہیں
کوئی سکھ بھی تو آس پاس نہیں
کوئی میری طرح اداس نہیں
اس لئے مجھ سے دور رہنے میں
ہے ترے بخت کی بھلائی اب
احتیاطاً یہ تم سے کہتا ہوں
اپنی خوشیاں اجاڑ مت دینا
بخت کا سوگ تم نہیں کرنا
اب مِرے پاس تم نہیں آنا۔۔۔


زین شکیل



ab mere paas tum nahi aana

muskurahat k baad ka rasta
mujh se phr teh na ho saka janan
tujh se pehle bhi main akela tha
main tere baad bhi akela hon
yeh mera bakht bhi nirala hai
is main thehri theen jis qadar khushiyan
pehen kr wo seyah libas sabhi
baal apne bakher bethi hain
ghar wo apna ujaar bethi hain
vasl ka aik pal bhi raas nahi
koi sukh bhi to aas paas nahi
koi meri tarah udaas nahi
is liye mujh se door rehne main
hai tere bakht ki bhalayi ab
ehteyaatan ye tum se kehta hon
apni khushuyan uhaar mat dena
bakht ka soag tum nhi karna
ab mere paas tum nahi aana

Zain Shakeel



No comments:

Post a Comment