Sunday, 3 January 2016

tere pehlu main shaam karta hon : poet zain shakeel

تیرے پہلو میں شام کرتا ہوں
رات کا اہتمام کرتا ہوں

مانتا ہوں میں ہجر کو مرشد
ہجر کا احترام کرتا ہوں

اک تجھے یاد پھرتری باتیں
بس یہی ایک کام کرتا ہوں

مور کے پنکھ ہیں کتابوں میں
حسن کا احترام کرتا ہوں

یار بدلے ہوئے ہیں سو میں بھی
دور سے ہی سلام کرتا ہوں

لفظ ہونٹوں پہ آ نہیں پاتے
جب بھی تم سے کلام کرتا ہوں

ہے محبت مجھے پرندوں سے
زین میں نیک کام کرتا ہوں

زین شکیل

tere pehlu main shaam karta hon
raat ka ehtamaam karta hon

manta hon main hijr ko murshad
hijr ka ehtaram karta hon

ik tujay yaad phr teri baten
bas yehi aik kaam karta hon

morr k pankh hain kitabon main
husn ka ehtaram karta hon

yaar badlay huye hain so main bhi
door se hi salam karta hon

lafz honton pe aa nahi saktay
jab bhi tum se kalaam karta hon

hai muhabbat mujay parindon se
zain main naik kaam karta hon

Zain Shakeel


No comments:

Post a Comment